Jamshed Masroor

tanha har ek rah se guzar jaana chahiye

Jamshed Masroor

tanhā har ek rah se guzar jaanā chāhiye

jaise jiye haiñ vaise mar jaanā chāhiye

jaane ye dil dard kahāñ tak satā.egā

dariyā chaḌhe to us ko utar jaanā chāhiye

bujh kar vajūd-e-sho.ala sulagtā hai kis liye

maiñ raakh huuñ to mujh ko bikhar jaanā chāhiye

āvārgī meñ kab se guzartī hai raat bhī

āḳhir kabhī to shaam ko ghar jaanā chāhiye

ai dosto khaḌe ho mire gird kis liye

koī batāo mujh ko kidhar jaanā chāhiye

har jalva-e-jamāl se tañg aa chukā hai

ik roz zindagī se bhī bhar jaanā chāhiye

'jamshed' sun rahe ho safar pukār kyā

tūfāñ ko yuuñ na rah meñ Thahar jaanā chāhiye

Top Urdushayar.com