dil  kā  ahvāl  zamāne  pe  ayaañ  ho  saktā
lafz  ai  kaash  tamannā  kī  zabāñ  ho  saktā
ye  samajhte  hī  nahīñ  dard  kā  baa.is  kyā  hai
merā  dil  kaash  dil-e-chāra-garāñ  ho  saktā
dekh  saktā  kisī  ḳhanjar  kī  lapak  kā  manzar
koī  ġham-ḳhvār  qarīb-e-rag-e-jāñ  ho  saktā
chāñd  kī  mash.al-e-be-kār  bujhā  dī  jaatī
raat  par  raat  kā  shiddat  se  gumāñ  ho  saktā
kam  na  hotī  jo  tapish  dard  ke  añgāroñ  kī
ruuh  meñ  hausla-e-zabt-e-fuġhāñ  ho  saktā
sher  banñe  se  ḳhayālāt  bikhar  jaate  haiñ
kaash  'jamshed'  ye  dukh  yūñhī  bayāñ  ho  saktā