un  kā  barbād-e-karam  kahne  ke  qābil  ho  gayā
dard  pahlū  meñ  jahāñ  bhī  thā  vahīñ  dil  ho  gayā
bārhā  dekhā  hai  dil  ne  o  mire  mahv-e-ḳhirām
hashr  uTThā  aur  tire  qadmoñ  meñ  shāmil  ho  gayā
dil  jahāñ  uchhlā  fazā-e-do-jahāñ  par  chhā  gayā
arsa-e-kaunain  jab  simTā  mirā  dil  ho  gayā
be-ḳhabar  rahnā  hī  achchhā  is  jahān-e-ġhair  meñ
miT  gayā  jo  vāqif-e-ādāb-e-mahfil  ho  gayā
jo  nigāh-e-shauq  uTThī  husn  ban  kar  rah  ga.ī
jo  qadam  ham  ne  uThāyā  naqsh-e-manzil  ho  gayā
yā  kabhī  manzil  thī  maqsūd-e-mazāq-e-justujū
yā  mazāq-e-justujū  maqsūd-e-manzil  ho  gayā
haa.e  'bāsit'  ye  mire  ḳhūn-e-tamannā  kā  asar
aur  bhī  rañgīn  kuchh  dāmān-e-qātil  ho  gayā