kuchh  sila  hī  na  milā  ishq  meñ  jal  jaane  kā
sham.a  ne  luuT  liyā  soz  bhī  parvāne  kā
zabt-e-fariyād  kī  be-sūd  tavaqqo  dil  se
zarf  kyuuñ  dekhiye  TuuTe  hue  paimāne  kā
merā  miTnā  nahīñ  āsān  mohabbat  kī  qasam
maut  hai  naam  tire  dil  se  utar  jaane  kā
hashr  tak  ro.egī  duniyā-e-mohabbat  mujh  ko
silsila  ḳhatm  na  hogā  mire  afsāne  kā
maut  kī  niiñd  se  insāñ  ko  jagā  detī  hai
jis  haqīqat  meñ  zarā  rañg  ho  afsāne  kā
is  tarah  mujh  se  muḳhātab  hai  zamāna  jaise
hosh  kī  fikr  bhī  ik  farz  ho  dīvāne  kā
un  ke  andāz-e-sitam  kā  hai  taqāzā  'bāsit'
ahd  kar  lījiye  mar  mar  ke  jiye  jaane  kā