mohabbat  kī  intihā  chāhtā  huuñ
unheñ  hāsil-e-ibtidā  chāhtā  huuñ
use  barmalā  dekhnā  chāhtā  huuñ
adab  ai  mohabbat  ye  kyā  chāhtā  huuñ
ġham-e-ishq  kā  silsilā  chāhtā  huuñ
maiñ  tujh  tak  tirā  vāstā  chāhtā  huuñ
karam-hā-e-nā-mustaqil  kā  gila  kyā
sitam-hā-e-be-intihā  chāhtā  huuñ
vo  ghabrā  ke  jis  par  nazar  Daal  hī  deñ
maiñ  vo  qalb-e-shorish-adā  chāhtā  huuñ
karam  kījiye  to  karam  kā  huuñ  tālib
sazā  dījiye  to  sazā  chāhtā  huuñ
tirī  yaad  achchhī  tarah  zikr  pyārā
magar  maiñ  tujhe  dekhnā  chāhtā  huuñ
tire  ishq  hī  se  banī  merī  hastī
tire  ishq  hī  meñ  miTā  chāhtā  huuñ
jo  taaza  kare  qissa-e-tūr  'bāsit'
maiñ  aisā  hī  ik  vāqi.a  chāhtā  huuñ