Mohammad Mustahsan Jami

rangon ki pahchan nahin kar sakta tha

Mohammad Mustahsan Jami

Khushab, Punjab, Pakistan

1994
rañgoñ kī pahchān nahīñ kar saktā thā
tujh jaisā insān nahīñ kar saktā thā
maiñ ne itne kaam kiye haiñ fursat meñ
puurā pākistān nahīñ kar saktā thā
ek faqīr kī aah ne vo bhī kar Daalā
jo shāhī farmān nahīñ kar saktā thā
ashkoñ se shādāb rahīñ terī āñkheñ
maiñ jin ko vīrān nahīñ kar saktā thā
apnā aap batā saktā thā pūchhne par
bas ḳhud ko āsān nahīñ kar saktā thā
Top Urdushayar.com