Rishi Patialvi

dard-o-gham ko hasti-e-kam-maya ka hasil samajh

Rishi Patialvi

Hoshiarpur, Punjab, India

1917-1999
dard-o-ġham ko hastī-e-kam-māya kā hāsil samajh
dars-gāh-e-ishq kī ye ramz ai ġhāfil samajh
justujū-dar-justujū āsān har mushkil samajh
ġham na kar tadbīr ko taqdīr kā hāsil samajh
bhuul kar bhī koī harf-e-dil-shikan lab par na lā
haq to ye hai dūsre ke dil ko apnā dil samajh
rāh-e-ulfat meñ jise gum-gashtagī hāsil huī
aise ḳhush-taqdīr ko āsūda-e-manzil samajh
lazzat-e-lutf-o-tarab ġham-āshnā rahne meñ hai
jaan ko har haal meñ āzār ke qābil samajh
pā-e-istiqlāl meñ laġhzish na aa jaa.e kahīñ
azm-e-rāsiḳh hī ko apnā rahbar-e-kāmil samajh
ahd-e-māzī ko na ro taqdīr kā mātam na kar
haal kī rūdād hī ko apnā mustaqbil samajh
bāryābī hosh kī baazī lagā dene meñ hai
bārgāh-e-husn meñ hushiyār ko ġhāfil samajh
nāḳhudā to kyā ḳhudā kā bhī sahārā chhoḌ de
qulzum-e-hastī meñ har girdāb ko sāhil samajh
ab zamāna bār-e-ehsāñ sar pe lene kā nahīñ
ruḳh zamāne kī havā kā dekh ai ġhāfil samajh
bāġh-e-ālam kī bahāreñ sab ḳhizāñ-anjām haiñ
aish-sāmānī ko vaj.h-e-ḳhastagī-e-dil samajh
yā tarīq-e-dost-dārī par bharosa hī na kar
yā fareb-e-dostī ke sehr ko bātil samajh
imtiyāz-e-jalva-o-parda jahāñ rahtā nahīñ
vo maqām aa.e to zauq-e-dīd ko kāmil samajh
kyuuñ kisī begāna-vash par dil fidā kartā hai tū
ai 'rishī' kuchh hosh meñ aa apne dil ko dil samajh
Top Urdushayar.com