jaise  bhī  ye  duniyā  hai  jo  kuchh  bhī  zamānā  hai
sab  terī  kahānī  hai  sab  merā  fasānā  hai
ik  barq-e-siyah-mastī  ik  sho.ala-e-mad-hoshī
miinā  se  girānā  hai  sāġhar  se  uThānā  hai
tum  tak  na  pahuñch  jaa.e  lau  sham-e-mohabbat  kī
jab  tuur  ko  phūñkā  thā  ab  dil  ko  jalānā  hai
mahdūd-e-zabāñ  kab  tak  afsāna  mohabbat  kā
āñkhoñ  se  bhī  kahnā  hai  dil  se  bhī  sunānā  hai
allāh  re  tanzīm  hairat-kada-e-hastī
dekho  to  haqīqat  hai  samjho  to  fasānā  hai
aaheñ  bhī  nahīñ  ruktīñ  naale  bhī  nahīñ  thamte
aur  un  ko  mohabbat  kā  afsāna  sunānā  hai
vo  husn-e-mujassam  haiñ  ham  ishq-e-mukammal  haiñ
un  kā  bhī  zamāna  hai  apnā  bhī  zamānā  hai
jalve  kahīñ  chhupte  haiñ  nazreñ  kahīñ  ruktī  haiñ
parda  na  uThānā  bhī  parda  hī  uThānā  hai
bulbul  kī  mohabbat  se  vo  raaz  rahe  kab  tak
kaliyoñ  kī  zabāñ  par  jo  mub.ham  sā  fasānā  hai
tadbīr  bhī  ye  kah  kar  ruḳhsat  huī  furqat  meñ
taqdīr  kī  duniyā  hai  qismat  kā  zamānā  hai
kuchh  dard  ke  pahlū  haiñ  kuchh  yaas  kī  bāteñ  haiñ
afsāna  mirā  kyā  hai  ronā  hai  rulānā  hai
nākām  mohabbat  kī  allāh  re  majbūrī
jiine  kī  nahīñ  fursat  marne  ko  zamānā  hai
kyā  qahr  hai  ai  'bāsit'  ye  tab-e-hayā-parvar
un  kī  hī  mohabbat  hai  un  se  hī  chhupānā  hai