vāraftagī-e-ishq  na  jaa.e  to  kyā  kareñ
terā  bhī  ab  ḳhayāl  na  aa.e  to  kyā  kareñ
ḳhud  sharm-e-ishq  dil  ko  miTā.e  to  kyā  kareñ
un  tak  nigāh-e-shauq  na  jaa.e  to  kyā  kareñ
mai-ḳhvāriyāñ  gunāh  sahī  sāqī-e-azal
jab  abr  jhuum  jhuum  ke  aa.e  to  kyā  kareñ
ye  dair  vo  haram  ye  kalīsā  vo  mai-kada
apnī  taraf  har  ek  bulā.e  to  kyā  kareñ
mumkin  hai  har  ḳhayāl  kā  dil  se  nikālnā
terā  ḳhayāl  aa  ke  na  jaa.e  to  kyā  kareñ
maanā  nigāh-e-shauq  rahe  ehtiyāt  se
har  jalva  ḳhud  nazar  meñ  samā.e  to  kyā  kareñ
'bāsit'  sitam  pe  shukr-e-sitam  chāhiye  magar
koī  karam  se  ham  ko  miTā.e  to  kyā  kareñ