tārīk  ujāloñ  meñ  be-ḳhvāb  nahīñ  rahnā
us  ziist  ke  dariyā  ko  pāyāb  nahīñ  rahnā
sarsabz  jazīroñ  kī  ubhregī  shabāhat  bhī
us  ziist  samundar  ko  be-āb  nahīñ  rahnā
is  hijr-e-musalsal  kī  aadat  bhī  kabhī  hogī
hoñToñ  pe  sadā  ġham  kā  zahrāb  nahīñ  rahnā
chhan  chhan  ke  bahegā  din  bādal  kī  ridāoñ  se
sūraj  kī  shuāoñ  ko  nāyāb  nahīñ  rahnā
us  raat  ke  māthe  par  ubhreñge  sitāre  bhī
ye  ḳhauf  añdheroñ  kā  shādāb  nahīñ  rahnā