Azra Waheed

ghubar-e-jaan pas-e-diwar-o-dar sameTa hai

Azra Waheed

ġhubār-e-jāñ pas-e-dīvār-o-dar sameTā hai

dayār-e-sañg meñ shīshe ghar sameTā hai

samundaroñ meñ bhī sūraj ne bo diye haiñ sarāb

ga.e the siip uThāne bhañvar sameTā hai

sa.ūbatoñ koī had na āḳhirī dekhī

har ek raah meñ zād-e-safar sameTā hai

mohabbatoñ ne diyā hai sadāqatoñ shu.ūr

bikhar gayā hai jab ik baar ghar sameTā hai

havā ke saath safar meñ qabāhateñ thiiñ bahut

misāl-e-abr bikhartā nagar sameTā hai

añdherī raat meñ sūraj justujū hai

havāoñ meñ bhī charāġh-e-nazar sameTā hai

jo shāḳh shāḳh parindoñ āshiyāna thā

vo barg barg purānā shajar sameTā hai

numū ke rab kabhī us munsifī daad to de

shajar koī na lagāyā samar sameTā hai

Top Urdushayar.com