gire  qatroñ  meñ  patthar  par  sadā  aisā  bhī  hotā  hai
bhalā  ho  kar  bhalā  nām-e-ḳhudā  aisā  bhī  hotā  hai
diloñ  meñ  talḳhiyāñ  phir  bhī  nazar  meñ  muskurāhaT  ho
balā  ke  habs  meñ  bhī  ho  havā  aisā  bhī  hotā  hai
maiñ  ḳhud  se  ajnabī  ho  kar  qabā-e-ḳhush-dilī  pahnūñ
mire  andar  rahe  koī  chhupā  aisā  bhī  hotā  hai
kanār-e-āb-e-dajla  dhuup  taptī  ho  qayāmat  kī
har  ik  zarra  bane  karb-o-balā  aisā  bhī  hotā  hai
kabhī  tanhā.iyoñ  meñ  ḳhud-kalāmī  aur  phir  hañsnā
mujhe  raas  aa.e  ye  āb-o-havā  aisā  bhī  hotā  hai
sabhī  paḌh  kar  phir  apnī  raah  ho  lete  haiñ  bastī  meñ
sar-e-dīvār  kuchh  mub.ham  likhā  aisā  bhī  hotā  hai
bachā  luuñ  nuuh  ke  beḌe  ko  tūfānoñ  kī  shiddat  se
baḌhā  bahr-e-madad  ḳhud  kibriyā  aisā  bhī  hotā  hai