Azhar Faragh

us lab ki KHamushi ke sabab TuTta hun main

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
us lab kī ḳhāmushī ke sabab TūTtā huuñ maiñ
dast-e-duā meñ rakkhā huā aa.ina huuñ maiñ
ab jā ke ho sakegī mohabbat vasūq se
ḳhud se bichhaḌte vaqt kisī se milā huuñ maiñ
ābād hai ḳhazāne kī afvāh se vajūd
matrūk jañgaloñ kā koī rāsta huuñ maiñ
dastār kāġhzī hai fazīlat hai naam kī
chhoToñ kī mehrbānī se ghar meñ baḌā huuñ maiñ
ro kar na soyā jaa.e to kyā niiñd kā javāz
bistar kī har shikan meñ paḌā jāgtā huuñ maiñ
huuñ apnī raushnī kī aziyyat meñ mubtalā
jaltā huā charāġh huuñ ulTā paḌā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com