Azhar Faragh

kami hai kaun si ghar mein dikhane lag gae hain

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
kamī hai kaun sī ghar meñ dikhāne lag ga.e haiñ
charāġh aur añdherā baḌhāne lag ga.e haiñ
ye e'timād bhī merā diyā huā hai tujhe
jo mere mashvare be-kār jaane lag ga.e haiñ
maiñ itnā va.ada-farāmosh bhī nahīñ huuñ ki aap
mire libās pe girheñ lagāne lag ga.e haiñ
vo pahle tanhā ḳhazāne ke ḳhvāb dekhtā thā
ab apne haath bhī naqshe purāne lag ga.e haiñ
fazā badal ga.ī andar se ham parindoñ kī
jo bol tak nahīñ sakte the gaane lag ga.e haiñ
kahīñ hamārā talātum thame to faisla ho
ham apnī mauj meñ kyā kyā bahāne lag ga.e haiñ
nahīñ ba.iid ki jañgal meñ shaam paḌ jaa.e
ham ek peḌ ko rasta batāne lag ga.e haiñ
Top Urdushayar.com