kamī  hai  kaun  sī  ghar  meñ  dikhāne  lag  ga.e  haiñ
charāġh  aur  añdherā  baḌhāne  lag  ga.e  haiñ
ye  e'timād  bhī  merā  diyā  huā  hai  tujhe
jo  mere  mashvare  be-kār  jaane  lag  ga.e  haiñ
maiñ  itnā  va.ada-farāmosh  bhī  nahīñ  huuñ  ki  aap
mire  libās  pe  girheñ  lagāne  lag  ga.e  haiñ
vo  pahle  tanhā  ḳhazāne  ke  ḳhvāb  dekhtā  thā
ab  apne  haath  bhī  naqshe  purāne  lag  ga.e  haiñ
fazā  badal  ga.ī  andar  se  ham  parindoñ  kī
jo  bol  tak  nahīñ  sakte  the  gaane  lag  ga.e  haiñ
kahīñ  hamārā  talātum  thame  to  faisla  ho
ham  apnī  mauj  meñ  kyā  kyā  bahāne  lag  ga.e  haiñ
nahīñ  ba.iid  ki  jañgal  meñ  shaam  paḌ  jaa.e
ham  ek  peḌ  ko  rasta  batāne  lag  ga.e  haiñ