Azhar Faragh

jate hue nahin raha phir bhi hamare dhyan mein

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
jaate hue nahīñ rahā phir bhī hamāre dhyān meñ
dekhī bhī ham ne machhliyāñ shīshe ke martabān meñ
pahle bhī apnī jholiyāñ jhaaḌ kar uTh ga.e the ham
aisī hī ek raat thī aisī hī dāstān meñ
saath za.iif baap ke lag ga.iiñ kām-kāj par
gahne chhupā ke laḌkiyāñ daadī ke pān-dān meñ
ghanTī bajā ke bhāgte bachchoñ ko thoḌī ilm hai
rahtā nahīñ hai koī bhī aadmī is makān meñ
ya.anī majāl kuchh nahīñ zarroñ ke ijtimā kī
ya.anī sabhī mah-o-nujūm ek hī ḳhāndān meñ
itnā bhī muḳhtalif nahīñ merā tumhārā tajraba
jaise ki tum muqīm ho aur kisī jahān meñ
Top Urdushayar.com