Parveen Shakir

kuchh KHabar lai to hai baad-e-bahaari uski

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
kuchh ḳhabar laa.ī to hai bād-e-bahārī us kī
shāyad is raah se guzregī savārī us kī
merā chehra hai faqat us kī nazar se raushan
aur baaqī jo hai mazmūn-nigārī us kī
aañkh uThā kar jo ravādār na thā dekhne kā
vahī dil kartā hai ab minnat o zaarī us kī
raat kī aañkh meñ haiñ halke gulābī Dore
niiñd se palkeñ huī jaatī haiñ bhārī us kī
us ke darbār meñ hāzir huā ye dil aur phir
dekhne vaalī thī kuchh kār-guzārī us kī
aaj to us pe Thahartī hī na thī aañkh zarā
us ke jaate hī nazar maiñ ne utārī us kī
arsa-e-ḳhvāb meñ rahnā hai ki lauT aanā hai
faisla karne kī is baar hai baarī us kī
Top Urdushayar.com