kuchh  ḳhabar  laa.ī  to  hai  bād-e-bahārī  us  kī
shāyad  is  raah  se  guzregī  savārī  us  kī
merā  chehra  hai  faqat  us  kī  nazar  se  raushan
aur  baaqī  jo  hai  mazmūn-nigārī  us  kī
aañkh  uThā  kar  jo  ravādār  na  thā  dekhne  kā
vahī  dil  kartā  hai  ab  minnat  o  zaarī  us  kī
raat  kī  aañkh  meñ  haiñ  halke  gulābī  Dore
niiñd  se  palkeñ  huī  jaatī  haiñ  bhārī  us  kī
us  ke  darbār  meñ  hāzir  huā  ye  dil  aur  phir
dekhne  vaalī  thī  kuchh  kār-guzārī  us  kī
aaj  to  us  pe  Thahartī  hī  na  thī  aañkh  zarā
us  ke  jaate  hī  nazar  maiñ  ne  utārī  us  kī
arsa-e-ḳhvāb  meñ  rahnā  hai  ki  lauT  aanā  hai
faisla  karne  kī  is  baar  hai  baarī  us  kī