vo  to  ḳhush-bū  hai  havāoñ  meñ  bikhar  jā.egā
mas.ala  phuul  kā  hai  phuul  kidhar  jā.egā
ham  to  samjhe  the  ki  ik  zaḳhm  hai  bhar  jā.egā
kyā  ḳhabar  thī  ki  rag-e-jāñ  meñ  utar  jā.egā
vo  havāoñ  kī  tarah  ḳhāna-ba-jāñ  phirtā  hai
ek  jhoñkā  hai  jo  aa.egā  guzar  jā.egā
vo  jab  aa.egā  to  phir  us  kī  rifāqat  ke  liye
mausam-e-gul  mire  āñgan  meñ  Thahar  jā.egā
āḳhirash  vo  bhī  kahīñ  ret  pe  baiThī  hogī
terā  ye  pyaar  bhī  dariyā  hai  utar  jā.egā
mujh  ko  tahzīb  ke  barzaḳh  kā  banāyā  vāris
jurm  ye  bhī  mire  ajdād  ke  sar  jā.egā