jalā  diyā  shajar-e-jāñ  ki  sabz-baḳht  na  thā
kisī  bhī  rut  meñ  harā  ho  ye  vo  daraḳht  na  thā
vo  ḳhvāb  dekhā  thā  shahzādiyoñ  ne  pichhle  pahar
phir  us  ke  baad  muqaddar  meñ  taaj  o  taḳht  na  thā
zarā  se  jabr  se  maiñ  bhī  to  TuuT  saktī  thī
mirī  tarah  se  tabī.at  kā  vo  bhī  saḳht  na  thā
mire  liye  to  vo  ḳhanjar  bhī  phuul  ban  ke  uThā
zabān  saḳht  thī  lahja  kabhī  karaḳht  na  thā
añdherī  rātoñ  ke  tanhā  musāfiroñ  ke  liye
diyā  jalātā  huā  koī  sāz-o-raḳht  na  thā
ga.e  vo  din  ki  mujhī  tak  thā  merā  dukh  mahdūd
ḳhabar  ke  jaisā  ye  afsāna  laḳht-laḳht  na  thā