charāġh-e-rāh bujhā kyā ki rahnumā bhī gayā
havā ke saath musāfir kā naqsh-e-pā bhī gayā
maiñ phuul chuntī rahī aur mujhe ḳhabar na huī
vo shaḳhs aa ke mire shahr se chalā bhī gayā
bahut aziiz sahī us ko merī dildārī
magar ye hai ki kabhī dil mirā dukhā bhī gayā
ab un darīchoñ pe gahre dabīz parde haiñ
vo tāñk-jhāñk kā ma.asūm silsila bhī gayā
sab aa.e merī ayādat ko vo bhī aayā thā
jo sab ga.e to mirā dard-āshnā bhī gayā
ye ġhurbateñ mirī āñkhoñ meñ kaisī utrī haiñ
ki ḳhvāb bhī mire ruḳhsat haiñ ratjagā bhī gayā