apnī  hī  sadā  sunūñ  kahāñ  tak
jañgal  kī  havā  rahūñ  kahāñ  tak
har  baar  havā  na  hogī  dar  par
har  baar  magar  uThūñ  kahāñ  tak
dam  ghaTtā  hai  ghar  meñ  habs  vo  hai
ḳhushbū  ke  liye  rukūñ  kahāñ  tak
phir  aa  ke  havā.eñ  khol  deñgī
zaḳhm  apne  rafū  karūñ  kahāñ  tak
sāhil  pe  samundaroñ  se  bach  kar
maiñ  naam  tirā  likhūñ  kahāñ  tak
tanhā.ī  kā  ek  ek  lamha
hañgāmoñ  se  qarz  luuñ  kahāñ  tak
gar  lams  nahīñ  to  lafz  hī  bhej
maiñ  tujh  se  judā  rahūñ  kahāñ  tak
sukh  se  bhī  to  dostī  kabhī  ho
dukh  se  hī  gale  milūñ  kahāñ  tak
mansūb  ho  har  kiran  kisī  se
apne  hī  liye  jalūñ  kahāñ  tak
āñchal  mire  bhar  ke  phaT  rahe  haiñ
phuul  us  ke  liye  chunūñ  kahāñ  tak