Parveen Shakir

pura dukh aur aadha chand

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
puurā dukh aur aadhā chāñd
hijr kī shab aur aisā chāñd
din meñ vahshat bahal ga.ī
raat huī aur niklā chāñd
kis maqtal se guzrā hogā
itnā sahmā sahmā chāñd
yādoñ kī ābād galī meñ
ghuum rahā hai tanhā chāñd
merī karvaT par jaag uTThe
niiñd kā kitnā kachchā chāñd
mere muñh ko kis hairat se
dekh rahā hai bholā chāñd
itne ghane bādal ke pīchhe
kitnā tanhā hogā chāñd
aañsū roke nuur nahā.e
dil dariyā tan sahrā chāñd
itne raushan chehre par bhī
sūraj kā hai saayā chāñd
jab paanī meñ chehra dekhā
tū ne kis ko sochā chāñd
bargad kī ik shāḳh haTā kar
jaane kis ko jhāñkā chāñd
bādal ke resham jhūle meñ
bhor samay tak soyā chāñd
raat ke shāne par sar rakkhe
dekh rahā hai sapnā chāñd
sūkhe pattoñ ke jhurmuT par
shabnam thī yā nanhā chāñd
haath hilā kar ruḳhsat hogā
us kī sūrat hijr kā chāñd
sahrā sahrā bhaTak rahā hai
apne ishq meñ sachchā chāñd
raat ke shāyad ek baje haiñ
sotā hogā merā chāñd
Top Urdushayar.com