puurā  dukh  aur  aadhā  chāñd
hijr  kī  shab  aur  aisā  chāñd
din  meñ  vahshat  bahal  ga.ī
raat  huī  aur  niklā  chāñd
kis  maqtal  se  guzrā  hogā
itnā  sahmā  sahmā  chāñd
yādoñ  kī  ābād  galī  meñ
ghuum  rahā  hai  tanhā  chāñd
merī  karvaT  par  jaag  uTThe
niiñd  kā  kitnā  kachchā  chāñd
mere  muñh  ko  kis  hairat  se
dekh  rahā  hai  bholā  chāñd
itne  ghane  bādal  ke  pīchhe
kitnā  tanhā  hogā  chāñd
aañsū  roke  nuur  nahā.e
dil  dariyā  tan  sahrā  chāñd
itne  raushan  chehre  par  bhī
sūraj  kā  hai  saayā  chāñd
jab  paanī  meñ  chehra  dekhā
tū  ne  kis  ko  sochā  chāñd
bargad  kī  ik  shāḳh  haTā  kar
jaane  kis  ko  jhāñkā  chāñd
bādal  ke  resham  jhūle  meñ
bhor  samay  tak  soyā  chāñd
raat  ke  shāne  par  sar  rakkhe
dekh  rahā  hai  sapnā  chāñd
sūkhe  pattoñ  ke  jhurmuT  par
shabnam  thī  yā  nanhā  chāñd
haath  hilā  kar  ruḳhsat  hogā
us  kī  sūrat  hijr  kā  chāñd
sahrā  sahrā  bhaTak  rahā  hai
apne  ishq  meñ  sachchā  chāñd
raat  ke  shāyad  ek  baje  haiñ
sotā  hogā  merā  chāñd