Parveen Shakir

tera ghar aur mera jangal bhigta hai sath sath

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
terā ghar aur merā jañgal bhīgtā hai saath saath
aisī barsāteñ ki bādal bhīgtā hai saath saath
bachpane kā saath hai phir ek se donoñ ke dukh
raat kā aur merā āñchal bhīgtā hai saath saath
vo ajab duniyā ki sab ḳhanjar-ba-kaf phirte haiñ aur
kāñch ke pyāloñ meñ sandal bhīgtā hai saath saath
bārish-e-sañg-e-malāmat meñ bhī vo hamrāh hai
maiñ bhī bhīgūñ ḳhud bhī pāgal bhīgtā hai saath saath
laḌkiyoñ ke dukh ajab hote haiñ sukh us se ajiib
hañs rahī haiñ aur kājal bhīgtā hai saath saath
bārisheñ jaaḌe kī aur tanhā bahut merā kisān
jism aur iklautā kambal bhīgtā hai saath saath
Top Urdushayar.com