qaid  meñ  guzregī  jo  umr  baḌe  kaam  kī  thī
par  maiñ  kyā  kartī  ki  zanjīr  tire  naam  kī  thī
jis  ke  māthe  pe  mire  baḳht  kā  taara  chamkā
chāñd  ke  Dūbne  kī  baat  usī  shaam  kī  thī
maiñ  ne  hāthoñ  ko  hī  patvār  banāyā  varna
ek  TuuTī  huī  kashtī  mire  kis  kaam  kī  thī
vo  kahānī  ki  abhī  sūiyāñ  niklīñ  bhī  na  thiiñ
fikr  har  shaḳhs  ko  shahzādī  ke  anjām  kī  thī
ye  havā  kaise  uḌā  le  ga.ī  āñchal  merā
yuuñ  satāne  kī  to  aadat  mire  ghanshyām  kī  thī
bojh  uThāte  hue  phirtī  hai  hamārā  ab  tak
ai  zamīñ-māñ  tirī  ye  umr  to  ārām  kī  thī