gavāhī  kaise  TūTtī  muāmla  ḳhudā  kā  thā
mirā  aur  us  kā  rābta  to  haath  aur  duā  kā  thā
gulāb  qīmat-e-shaguft  shaam  tak  chukā  sake
adā  vo  dhuup  ko  huā  jo  qarz  bhī  sabā  kā  thā
bikhar  gayā  hai  phuul  to  hamīñ  se  pūchh-gachh  huī
hisāb  bāġhbāñ  se  hai  kiyā-dharā  havā  kā  thā
lahū-chashīda  haath  us  ne  chuum  kar  dikhā  diyā
jazā  vahāñ  milī  jahāñ  ki  marhala  sazā  kā  thā
jo  bārishoñ  se  qabl  apnā  rizq  ghar  meñ  bhar  chukā
vo  shahr-e-mor  se  na  thā  pa  dūrbīñ  balā  kā  thā