Parveen Shakir

gulab hath mein ho aankh mein sitara ho

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
gulāb haath meñ ho aañkh meñ sitāra ho
koī vajūd mohabbat kā isti.āra ho
maiñ gahre paanī kī is rau ke saath bahtī rahūñ
jazīra ho ki muqābil koī kināra ho
kabhī-kabhār use dekh leñ kahīñ mil leñ
ye kab kahā thā ki vo ḳhush-badan hamārā ho
qusūr ho to hamāre hisāb meñ likh jaa.e
mohabbatoñ meñ jo ehsān ho tumhārā ho
ye itnī raat ga.e kaun dastakeñ degā
kahīñ havā kā hī us ne na ruup dhārā ho
ufuq to kyā hai dar-e-kahkashāñ bhī chhū aa.eñ
musāfiroñ ko agar chāñd kā ishārā ho
maiñ apne hisse ke sukh jis ke naam kar Dālūñ
koī to ho jo mujhe is tarah kā pyārā ho
agar vajūd meñ āhañg hai to vasl bhī hai
vo chāhe nazm kā TukḌā ki nasr-pāra ho
Top Urdushayar.com