Parveen Shakir

KHayal-o-KHwab hua barg-o-bar ka mausam

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
ḳhayāl-o-ḳhvāb huā barg-o-bār kā mausam
bichhaḌ gayā tirī sūrat bahār kā mausam
ka.ī rutoñ se mire nīm-vā darīchoñ meñ
Thahar gayā hai tire intizār kā mausam
vo narm lahje meñ kuchh to kahe ki lauT aa.e
samā.atoñ kī zamīñ par phuvār kā mausam
payām aayā hai phir ek sarv-qāmat kā
mire vajūd ko khīñche hai daar kā mausam
vo aag hai ki mirī por por jaltī hai
mire badan ko milā hai chīnār kā mausam
rafāqatoñ ke na.e ḳhvāb ḳhushnumā haiñ magar
guzar chukā hai tire e.atibār kā mausam
havā chalī to na.ī bārisheñ bhī saath aa.iiñ
zamīñ ke chehre pe aayā nikhār kā mausam
vo merā naam liye jaa.e aur maiñ us kā naam
lahū meñ guuñj rahā hai pukār kā mausam
qadam rakhe mirī ḳhushbū ki ghar ko lauT aa.e
koī batā.e mujhe kū-e-yār kā mausam
vo roz aa ke mujhe apnā pyaar pahnā.e
mirā ġhurūr hai bele ke haar kā mausam
tire tarīq-e-mohabbat pe bārhā sochā
ye jabr thā ki tire iḳhtiyār kā mausam
Top Urdushayar.com