ḳhaak  uḌtī  hai  ḳharīdār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
jin  se  thī  raunaq-e-bāzār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
sab  kī  peshāniyāñ  sajdoñ  se  munavvar  haiñ  yahāñ
ai  ḳhudā  tere  gunahgār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
sar-nigūñ  baiThe  haiñ  sab  zill-e-ilāhī  ke  huzūr
kyā  hue  sāhib-e-dastār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
jin  ke  dāman  meñ  duāoñ  ke  ḳhazāne  the  bahut
vo  saḳhāvat  ke  alam-dār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
aisā  ehsās-e-ziyāñ  to  kabhī  guzrā  hī  na  thā
dost  kyā  hue  aġhyār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
DhūñDhtī  phirtī  hai  pāgal  kī  tarah  shām-e-avadh
lucknow  tere  trahdār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
ḳhāna-e-jāñ  meñ  añdherā  hī  añdherā  hai  tamām
vo  farozāñ  dar-o-dīvār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
manzileñ  jin  kī  qadam-bosī  pe  nāzāñ  thiiñ  bahut
vo  jarī  qāfila-sālār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ
DhūñDtā  phirtā  huuñ  darvesh  o  qalandar  'aḳhtar'
sab  ke  sab  ā.īna-kirdār  kahāñ  kho  ga.e  haiñ