Sultan Akhtar

chhin le quwwat binai KHudaya mujhse

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940

chhīn le quvvat bīnā.ī ḳhudāyā mujh se

dekhā jaatā nahīñ ab terā tamāshā mujh se

ek muddat se azā-dār-e-alam-dār huuñ maiñ

TūTne vaalā nahīñ pyaas rishta mujh se

ghaTtā rahtā huuñ maiñ vīrān havelī tarah

bhāgtā phirtā hai hañgāma-e-duniyā mujh se

ab kisī meñ bhī yahāñ tāb-e-samā.at na rahī

koī suntā nahīñ hai mirā qissa mujh se

mujh ko har lamha qanā.at ne sar-afrāz kiyā

muflisī varna tirā bojh na uThtā mujh se

chain se kaTtī hai ab ḳhema-e-gum-nāmī meñ

koī rishta nahīñ ḳhalq-e-ḳhudā mujh se

dekhtā nahīñ vo merī bulandī taraf

ya.anī sharminda hai ab vaqt ziina mujh se

fāqa-mastī meñ bhī qaa.em hai mirī kaj-kulahī

aur kyā chāhtī hai azmat-e-rafta mujh se

kab utāroge mire jism se ġhurbat libās

pūchhtī hai mirī dīvār-e-shikasta mujh se

Top Urdushayar.com