Sultan Akhtar

hara shajar na sahi KHushk ghas rahne de

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940

harā shajar na sahī ḳhushk ghaas rahne de

zamīñ ke jism pe koī libās rahne de

kahīñ na raah meñ sūraj qahr TuuT paḌe

apnī yaad mire ās-pās rahne de

bikhar chuke haiñ samā.at ke talḳh shīrāze

ab apne naram laboñ miThās rahne de

vo dekh Dah chukīñ vahm-o-gumāñ dīvāreñ

yaqīn chīḳh rahā hai qayās rahne de

baḌā latīf añdherā hai raushnī na jalā

urūs-e-shab ko abhī ḳhush-libās rahne de

tasavvurāt ke lamhoñ qadr kar pyāre

zarā der to ḳhud ko udaas rahne de

Top Urdushayar.com