Sultan Akhtar

sans ukhDi hui sukhe hue lab kuchh bhi nahin

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
saañs ukhḌī huī sūkhe hue lab kuchh bhī nahīñ
pyaas kā naam hī raushan hai bas ab kuchh bhī nahīñ
sub.h tak phir bhī nahīñ bujhte haiñ āñkhoñ ke charāġh
jāntā huuñ ki pas-e-parda-e-shab kuchh bhī nahīñ
sar-e-ehsās pe dastār-e-fazīlat na rahī
bas ki ab silsila-e-nām-o-nasab kuchh bhī nahīñ
gul-e-imkān na sarsabz koī barg-e-umīd
ya.anī ab ke to sar-e-shāḳh-e-talab kuchh bhī nahīñ
be-ta.alluq rahe barsoñ to koī baat bhī thī
in dinoñ tum se na milne kā sabab kuchh bhī nahīñ
vaz.a-dārī hī bikharne nahīñ detī 'aḳhtar'
varna ham TuuTe hue logoñ meñ ab kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com