Sultan Akhtar

jhuT raushan hai ki sachchai nahin jaante hain

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940

jhuuT raushan hai ki sachchā.ī nahīñ jānte haiñ

log ab vahm o gumāñ ko yaqīñ jānte haiñ

ye alag baat ki aatī nahīñ duniyā-dārī

ahl-e-duniyā ko magar gosha-nashīñ jānte haiñ

taaq o mehrāb ronā ho ki dīvār ġham

baam o dar par jo guzartī hai makīñ jānte haiñ

varaq-e-dil pe abhī naqsh hai shab-nāma-e-ġham

phir bhī har sub.h ko ham sub.h-e-hasīñ jānte haiñ

jhuk ke milte to haiñ vo ḳhāk-nashīnoñ se magar

āsmāñ vāloñ ko ham ahl-e-zamīñ jānte haiñ

sab ke hoñToñ pe munavvar haiñ hamāre qisse

aur ham apnī kahānī bhī nahīñ jānte haiñ

koī dar qābil-e-tāzīm nazar to aa.e

sar jhukānā hai kahāñ ahl-e-jabīñ jānte haiñ

Top Urdushayar.com