Sultan Akhtar

silsila mere safar ka kabhi TuTa hi nahin

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940

silsila mere safar kabhī TuuTā nahīñ

maiñ kisī moḌ pe dam lene ko Thahrā nahīñ

ḳhushk hoñToñ ke tasavvur se larazne vaalo

tum ne taptā huā sahrā kabhī dekhā nahīñ

ab to har baat pe hañsne tarah hañstā huuñ

aisā lagtā hai mirā dil kabhī TuuTā nahīñ

maiñ vo sahrā jise paanī havas le Duubī

vo bādal jo kabhī TuuT ke barsā nahīñ

aisī vīrānī thī dar pe ki sabhī kaañp ga.e

aur kisī ne pas-e-dīvār to dekhā nahīñ

mujh se miltī nahīñ hai kabhī milne tarah

zindagī se mirā jaise koī rishta nahīñ

Top Urdushayar.com