Mohammad Asadullah

tujhko aawaz se samjhun ki bayan se dekhun

Mohammad Asadullah

Warud, Maharashtra, India

1958

tujh ko āvāz se samjhūñ ki bayāñ se dekhūñ

mo'atabar kyā hai batā tujh ko kahāñ se dekhūñ

āb-dīda huuñ maiñ ḳhud zaḳhm-e-jigar se apne

terī āñkhoñ meñ chhupā dard kahāñ se dekhūñ

is khulī aañkh pe khulte nahīñ asrār tire

chhupā hai to tujhe chashm-e-nihāñ se dekhūñ

maiñ ne chāhā thā sanam ban ke āñkhoñ meñ rahe

ne chāhā maiñ tujhe chashm-e-butāñ se dekhūñ

har taraf tiir baraste haiñ nishāna maiñ huuñ

lauT aatī hai nazar ḳhud pe jahāñ se dekhūñ

is tarah dil meñ utar na rahe kuchh baaqī

ho merī nazroñ meñ jahāñ se dekhūñ

Top Urdushayar.com