Mohammad Asadullah

gham kam hain zindagi mein zara aur paliye

Mohammad Asadullah

Warud, Maharashtra, India

1958

ġham kam haiñ zindagī meñ zarā aur pāliye

jo mas.ale nahīñ haiñ unheñ bhī uchhāliye

ik laġhzish-e-qadam bhī kabhī sar uḌā ga.ī

dastār chhoḌ dījiye ḳhud ko sañbāliye

bas haath terā haath meñ aa ne der thī

sab mehr-o-māh-o-arz-o-samā ham ne liye

raahī ye sañg-e-mīl nahīñ sañg-e-rāh haiñ

but bas ga.e haiñ ka.aba-e-dil meñ nikāliye

ab ke hameñ ishāra-e-anjum na thā koī

khīñche zamīñ ne haath to lañgar uThā liye

sarsabz dasht ḳhauf se ḳhāshāk ho gayā

haiñ mish.aleñ huzūr meñ armāñ nikāliye

Top Urdushayar.com