Sultan Ghauri

wahshat-e-dast-o-gareban na tujhe hai na mujhe

Sultan Ghauri

Karnal, Haryana, India

1928

vahshat-e-dast-o-garebāñ na tujhe hai na mujhe

jur.at-e-dasht-o-bayābāñ na tujhe hai na mujhe

dil ke kahne se abas us tamannā thī

hasrat-e-rañg-e-bahārāñ na tujhe hai na mujhe

chhoḌ aa.e tirī ḳhātir qafas-e-āfiyyat

raas ab sehn-e-gulistāñ na tujhe hai na mujhe

apnī aag meñ jalne qasam khaa.ī hai

ḳhvāhish-e-sham-e-farozāñ na tujhe hai na mujhe

yaad aa.ī to faqat chāñd chehra dekhā

tāb-e-nūr-e-ruḳh-e-tābāñ na tujhe hai na mujhe

kuchh na kuchh us ne rah-o-rasm nibhā.ī hogī

be-sabab shikva-e-'sultāñ' na tujhe hai na mujhe

Top Urdushayar.com