bas  ki  chuuñ  badr-zamāna  ye  ghaTātā  hai  mujhe
din-ba-din  aur  hī  aalam  nazar  aatā  hai  mujhe
husn  nairañgī-e-ālam  kā  ajab  rañg  se  kuchh
ain  nairañgī  meñ  sau  rañg  dikhātā  hai  mujhe
itnā  ma.alūm  to  hotā  hai  ki  jaatā  huuñ  kahīñ
koī  hai  mujh  meñ  ki  mujh  se  liye  jaatā  hai  mujhe
yaad  maiñ  kis  kī  karūñ  mujh  ko  kahāñ  hosh-o-havās
apnī  hī  yaad  se  ye  ishq  bhulātā  hai  mujhe
turfa  aalam  hai  ki  har  ek  se  vo  māya-nāz
aap  rahtā  hai  alag  aur  bhiḌātā  hai  mujhe
chhoḌ  kar  mujh  ko  vo  tanhā  koī  jaatā  hai  kahīñ
ye  bhī  ik  chheḌ  hai  us  ko  ki  kuḌhātā  hai  mujhe
mujh  ko  kyuuñ  khīñche  liye  jaa.e  hai  taqsīr  mirī
umr  Tuk  rah  to  sahī  kaun  bulātā  hai  mujhe
mujh  meñ  aur  dil  meñ  sadā  hai  sabaq-e-ishq  kā  dars
maiñ  sunātā  huuñ  use  aur  vo  sunātā  hai  mujhe
mere  nāḳhūnoñ  meñ  maiñ  tujh  se  kiye  chaar  abrū
apnī  kyā  teġh  se  har  dam  tū  Darātā  hai  mujhe
tā.ir-e-rañg-e-hinā  huuñ  to  lagūñ  tere  haath
chuTkiyoñ  meñ  tū  abas  yaar  uḌātā  hai  mujhe
tujh  ko  manzūr  jafā  mujh  ko  hai  matlūb  vafā
na  ye  bhātā  hai  tujhe  aur  na  vo  bhātā  hai  mujhe
jo  mirī  chiḌh  hai  usī  baat  kā  hai  tujh  ko  zauq
aah  tū  dīda-o-dānista  khujātā  hai  mujhe
phir  phir  ā.īne  meñ  muñh  dekhne  lagtā  hai  'hasan'
ek  dam  aap  meñ  vo  shoḳh  jo  paatā  hai  mujhe