Meer Hasan

sau ki ek baat main kahi to hai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
sau kī ik baat maiñ kahī to hai
ya.anī jo kuchh ki hai vahī to hai
dīd-e-vā-dīda ko ġhanīmat jaan
hāsil-e-zindagī yahī to hai
tere dīdār ke liye ye dekh
jaan āñkhoñ meñ aa rahī to hai
Dah gayā ho na ḳhāna-e-dil aaj
sail-e-ḳhūñ-chashm se bahī to hai
vaañ bhī rāhat ho yā na ho dekheñ
ik musībat yahāñ sahī to hai
mujh sā uryāñ kahāñ hai gul us ke
rañg ke bar meñ ik yahī to hai
tere ahvāl se 'hasan' baare
us ko thoḌī sī āgahī to hai
Top Urdushayar.com