kal  jo  tum  īdhar  se  guzre  ham  nazar  kar  rah  ga.e
jī  meñ  thā  kuchh  kahiye  lekin  aah  Dar  kar  rah  ga.e
jab  na  kuchh  bas  chal  sakā  apnā  to  phir  hasrat  se  haa.e
dekh  kar  muñh  ko  tire  ik  aah  bhar  kar  rah  ga.e
sar  bahut  paTkā  qafas  meñ  apnā  ham  ne  ham-safīr
kui  na  pahuñchā  daad  ko  fariyād  kar  kar  rah  ga.e
nāma-bar  kī  yā  kabūtar  kī  ki  dil  kī  rakhiye  aas
apne  to  yaañ  se  ga.e  jo  vaañ  vo  mar  kar  rah  ga.e
kal  kisī  kā  zikr-e-ḳhair  aayā  thā  majlis  meñ  'hasan'
is  dil-e-betāb  par  ham  haath  dhar  kar  rah  ga.e