us  kī  jab  bazm  se  ham  ho  ke  ba-tañg  aate  haiñ
apne  saath  aap  hī  karte  hue  jañg  aate  haiñ
husn  meñ  jab  ta.iiñ  garmī  na  ho  jī  deve  kaun
sham-e-tasvīr  ke  kab  gird  patañg  aate  haiñ
dil  ko  kis  bū-qalamoñ  jalve  ne  hai  ḳhuun  kiyā
ashk  ā.ankhoñ  se  jo  ye  rañg-ba-rañg  aate  haiñ
aah  ta.azīm  ko  uThtī  hai  mire  siine  se
dil  pe  jab  us  kī  nigāhoñ  ke  ḳhadañg  aate  haiñ
shart  gar  pūchho  to  hai  is  meñ  bhī  qismat  varna
āshiqī  karne  ke  har  ek  ko  Dhañg  aate  haiñ
naḳhl-e-vahshat  bhī  magar  un  kā  samar  rakhtā  hai
har  taraf  se  jo  ye  dīvāroñ  pe  sañg  aate  haiñ
hairat-afzā  hai  ajab  kūcha-e-dildār  'hasan'
jo  vahāñ  jaate  haiñ  is  tarf  se  dañg  aate  haiñ