kyūñkar  bhalā  lage  na  vo  dildār  duur  se
duunī  bahār  deve  hai  gulzār  duur  se
nazdīk  hī  se  sharm  hai  itnā  to  ho  bhalā
dekhā  kareñ  kabhī  kabhī  dīdār  duur  se
jī  to  bharā  na  apnā  kisī  tarah  kyā  huā
dekhā  agar  use  sar-e-bāzār  duur  se
be-iḳhtiyār  uThtī  hai  buniyād-e-be-ḳhudī
aatī  hai  jab  nazar  tirī  dīvār  duur  se
nazdīk  Tuk  biThā  ke  'hasan'  kā  to  haal  dekh
aayā  hai  qasd  kar  ke  ye  bīmār  duur  se