is  dil  meñ  apnī  jaan  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
ābād  ye  makān  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
ġhairoñ  kī  baat  kyā  kahūñ  is  kī  to  yaad  meñ
apnā  bhī  mujh  ko  dhiyān  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
vo  din  ga.e  jo  karte  the  ham  muttasil  fuġhāñ
ab  āh-e-nā-tavān  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
jis  aan  meñ  rahe  tū  use  jaan  muġhtanim
yaañ  kī  har  ek  aan  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
ayyām-e-vasl  par  to  bharosa  na  kījiyo
ye  vaqt  merī  jaan  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
aadat  jo  hai  hamesha  se  us  kī  so  hai  ġharaz
vo  ham  pe  mehrbān  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
is  dostī  kā  terī  talavvun-mizājī  se
apne  ta.iiñ  gumān  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
maġhrūr  hojiyo  na  is  auj-o-hasham  pe  tū
yaañ  kī  ye  izz-o-shān  kabhī  hai  kabhī  nahīñ
āshiq  kahīñ  huā  hai  'hasan'  kyā  hai  us  kā  haal
ye  aap  meñ  javān  kabhī  hai  kabhī  nahīñ