Meer Hasan

dilbar se hum apne jab milenge

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
dilbar se ham apne jab mileñge
is gum-shuda dil se tab mileñge
ye kis ko ḳhabar hai ab ke bichhḌe
kyā jāniye us se kab mileñge
jān-o-dil-o-hosh-o-sabr-o-tāqat
ik milne se us ke sab mileñge
duniyā hai sambhal ke dil lagānā
yaañ log ajab ajab mileñge
zāhir meñ to Dhab nahīñ hai koī
ham yaar se kis sabab mileñge
hogā kabhī vo bhī daur jo ham
dildār se roz-o-shab mileñge
ārām 'hasan' tabhī to hogā
us lab se jab apne lab mileñge
Top Urdushayar.com