dil  mirā  aaj  mere  paas  nahīñ
mujh  meñ  kuchh  hosh  aur  havās  nahīñ
dil  lagāyā  jahāñ  jafā  dekhī
kyā  balā  ishq  mujh  ko  raas  nahīñ
paas  hai  yaas  gard  hai  dil  kī
aur  ab  koī  ās-pās  nahīñ
aap  to  apnā  arz  kar  le  haal
dil  hameñ  tāb-e-iltimās  nahīñ
yuuñ  ḳhudā  chāhe  to  milā  de  use
vasl  kī  par  hameñ  to  aas  nahīñ
maiñ  bhī  kuchh  ho  gayā  huuñ  pazhmurda
dil  hī  merā  faqat  udaas  nahīñ
kyā  mile  tujh  se  koī  dil-dāda
āshnā.ī  kī  tujh  meñ  baas  nahīñ
hai  ġhafūrur-rahīm  terī  zaat
sab  se  hai  yaas  tujh  se  yaas  nahīñ
ek  Dar  hai  to  dost  kā  mujh  ko
dushmanoñ  se  to  kuchh  hirās  nahīñ
tere  ḳhātir  ye  sab  se  duur  huā
tū  bhī  tujh  ko  'hasan'  kā  paas  nahīñ