jigar-e-soḳhta  haiñ  aur  dil-e-biryāñ  haiñ  ham
sho.ale  kī  tarah  sadā  dīda-e-giryāñ  haiñ  ham
muttasil  laḳht-e-jigar  karte  haiñ  āñkhoñ  se  sadā
aah  kis  āshiq-e-ġham-dīda  kī  mizhgāñ  haiñ  ham
kabhī  hañste  haiñ  kabhī  rote  haiñ  jalte  haiñ  kabhī
gul  haiñ  shabnam  haiñ  ki  yā  ātish-e-sozāñ  haiñ  ham
ham  meñ  hī  ālam-e-akbar  hue  go  jurm-e-saġhīr
maz.har-e-jalva-e-haq  hazrat-e-insāñ  haiñ  ham
dahr  pur-shor  hai  hāthoñ  se  hamāre  ai  aah
āfrīnash  meñ  magar  nāla-o-afġhāñ  haiñ  ham
fikr-e-jam.iyyat-e-dil  ham  ko  kahāñ  aah  'hasan'
ḳhātir-āshufta-e-gesū-e-pareshāñ  haiñ  ham