vo  dilbarī  kā  us  kī  jo  kuchh  haal  hai  so  hai
aur  apnī  dil-dahī  kā  jo  ahvāl  hai  so  hai
mat  pūchh  us  kī  zulf  kī  uljheḌe  kā  bayān
ye  merī  jaan  ke  liye  janjāl  hai  so  hai
nekī  badī  kā  koī  kisī  ke  nahīñ  sharīk
jo  apnā  apnā  nāma-e-a.amāl  hai  so  hai
pis  jaa.e  koī  ho  yā  ki  pāmāl  us  ko  kyā
is  gardish-e-falak  kī  jo  kuchh  chaal  hai  so  hai
ve  hī  alam  meñ  aahoñ  ke  vaisī  hī  fauj-e-ashk
ab  tak  ġham-o-alam  kā  jo  iqbāl  hai  so  hai
aisā  to  vo  nahīñ  jo  mirā  chārasāz  ho
phir  fā.eda  kahe  se  jo  kuchh  haal  hai  so  hai
shikva  mujhe  to  sozan-e-mizhgāñ  se  kuchh  nahīñ
dil  ḳhaar  ḳhaar  aah  se  ġhirbāl  hai  so  hai
naqsh-e-qadam  kī  tarah  'hasan'  us  kī  raah  meñ
apnā  ye  dil  sadā  se  jo  pāmāl  hai  so  hai