dāman  ko  us  ke  khīñcheñ  aġhyār  sab  taraf  se
aur  aah  ham  ye  khīñcheñ  āzār  sab  taraf  se
jab  kām-e-dil  na  hargiz  hāsil  huā  kahīñ  se
dil  ko  uThā  ke  baiThe  nā-chār  sab  taraf  se
jī  chāhtā  hai  is  ke  kūche  meñ  baiTh  rahiye
kar  tark-e-āshnā.ī  yakbār  sab  taraf  se
tujh  paas  bhī  na  aaveñ  ham  ab  to  jaa.eñ  kīdhar
tū  ne  to  ham  ko  khoyā  ai  yaar  sab  taraf  se
mizhgāñ  se  us  ke  kyūñkar  dil  chhuT  sake  hamārā
ghere  hue  haiñ  is  ko  ve  ḳhaar  sab  taraf  se
parde  hazār  hoveñ  haa.il  pa  husn  us  kā
detā  hai  tāliboñ  ko  dīdār  sab  taraf  se
konā  bhī  ek  dil  kā  sābit  nahīñ  ye  kis  ne
is  ghar  ko  kar  diyā  hai  mismār  sab  taraf  se
naala  za.iif  apnā  pahuñchegā  kyūñki  vaañ  tak
kī  hai  buland  us  ne  dīvār  sab  taraf  se
ik  baar  to  azīzāñ  tum  mil  ke  haal  merā
kar  baiTho  us  ke  aage  iz.hār  sab  taraf  se
dīvāna  ho  ke  chhūTā  duniyā  se  varna  yārāñ
hote  gale  ke  mere  tum  haar  sab  taraf  se
ve  din  bhī  aah  koī  kyā  the  ki  jin  dinoñ  meñ
dil  ko  ḳhushī  thī  apne  dildār  sab  taraf  se
bas  tere  ġham  meñ  aa  kar  ab  ḳhaak  ho  ga.e  ham
dil  bujh  gayā  hamārā  ik  baar  sab  taraf  se
zikr-e-vafā-o-ulfat  mat  chheḌ  bas  'hasan'  ab
jī  ho  rahā  hai  apnā  bezār  sab  taraf  se