Tripurari

tajraba jo bhi hai mera main wahi likhta hun

Tripurari

Samastipur, Bihar, India

1986

tajraba jo bhī hai merā maiñ vahī likhtā huuñ

maiñ tasavvur ke bharose pe nahīñ baiThā huuñ

jab maiñ bāhar se baḌā saḳht nazar ā.ūñgā

tum samajhnā ki maiñ andar se bahut TuuTā huuñ

jis ḳhushbū mujhe mismār kiyā kartī hai

maiñ usī qabr pe phūloñ tarah khiltā huuñ

bārhā jism ne phir zehan ne bechā hai mujhe

kyā maiñ qudrat dukānoñ meñ rakhā saudā huuñ

merā TuuTā huā chashma bharosa hai mirā

apnī āñkhoñ se apāhij maiñ koī bachcha huuñ

Dūbtā dekh rahā huuñ maiñ ḳhudī meñ ḳhud ko

dil ik bench pe baiThā huā maiñ hañstā huuñ

Top Urdushayar.com